ye kooche ye neelaam ghar dil_kashi ke
ye luT_te hue kaarawaaN zindagii ke
kahaaN haiN, kahaaN haiN muhaafiz Khudi ke?
sanaa-Khwaan-e-taqdees-e-mashriq kahaaN haiN?
ye pur-pech galiyaaN, ye be-Khwaab baazaar
ye gumnaam raahii, ye sikkoN ki jhaNkaar
ye ismat ke saude, ye saudoN pe takaraar

ta’affun se pur neem-roshan ye galiyaaN
ye maslee hui adh-khilee zard kaliyaaN
ye bikati hui khokalii rang-raliyaaN

vo ujale dareechoN meiN paayal ki chhan-chhan
tanaffus ki uljhan pe tabale ki dhan-dhan
ye be-ruuh kamroN meiN khaaNsii kii Dhan-Dhan

ye guuNje hue qah-qahe raastoN par
ye chaaroN taraf bheeR si khiRkiyoN par
ye aawaazeN khiNchate hue aaNchaloN par

ye phuuloN ke gajare, ye peekoN ke chheeNTe
ye be-baak nazreN, ye gustaaKh fiqare
ye Dhalake badan aur ye madqooq chehare

ye bhuukii nigaaheN haseenoN ki jaanib
ye baRate hue haath seenoN ki jaanib
lapakate hue paaNv zeenoN ki jaanib

yahaaN peer bhii aa chuke haiN jawaaN bhi
tanuumand beTe bhi, abbaa miyaaN bhi
ye biwi bhi hai aur behan bhi hai, maaN bhi

madad chaahti hai ye hawwaa ki beTi
yashodaa ki ham-jins raadhaa ki beTi
payaMbar ki ummat zulaiKhaa ki beTi

zaraa mulk ke raahbaroN ko bulaao
ye kuuche ye galiyaaN ye maNzar dikhaao
sanaa-Khwaan-e-taqdees-e-mashriq ko laao

This poem from his first collection of poems called "Talkhiyan" was used by Guru Dutt in his film "Pyaasa". Sahir merely changed the refrain-"sanaa-Khwaan-e-taqdees-e-mashriq kahaaN haiN?" with "Jinhe naaz hai Hind par wo kahan hai?"
Sahir did it many a times,using his poems as songs and changing a couple of words here and there. Like using the word 'anjaam" instead of the original word "takmeel" in the song "Chalo ek baar phir se ajnabee ban jaaaye hum dono."-from the film "Gumraah", a B R Chopra film. This again is a poem from "Talkhiyan" called "Khoobsurat mod".

No comments:
Post a Comment